Posts

Showing posts from March, 2024

Ashtavakra MAHAGeeta Pratham Adhyay - Sikhsakh ne kya Sikha MY VIEW

Mein shiyay ke torr pr jo sikha wo mein btata hu. Mene janna ki karmo ke bandhan se admi tabtk mukkt nhi hota jabtk wo yeh nhi janta ki wo ye sarir nhi hai or na hi wo panch tatvo se bana hua hai kyuki 5 tatvo se to sarir ki rachna hui hai aatma to nirakar, bandhano se mukt, karta ke bhav se mukt, avinashi or nirakar hai.  Acha ya bura karm to sarir ka bandhan hai aatman ke liye na to kuch acha hai na kuch bura. Aatmgyan ka aarth hai jab apne ap ko karta na mankr insan Dreshta (viewer) ke dhang se khudko dekhna suru krde or janle ki na to wo ye sarir hai or na hi karm ka karta wo nirakar, kabi na nasht hone wala Aatman hi hai. Na to use krta ka bhav rhta hai na hi kisi bhog ko bhogne ki lalsa wo jo 100 bhogo m rhe pr judaa kisi se na ho wahi ghrast m rhte hue bandhano se mukt or aatma ke nikatt hai. Krta bhav ghamand peda krta hai usi se bhavnae utpan hoti hai ki mein ye hu mein wo ho lekin hakikat mein yadi wo khudko Dreshta  ke bhav se dekhe to wo na to krtaa hai na hi sarir hai. Bin

ASTAVAKRA GITA - in MY WORDS

Mukti or Aatman gyaan ki ikcha rakhne wale ko Maya ke bandhan mein bandhne wale vishya ko tyag dena chahea agar ghrast mein une bhogna hai to sahi bhogo is parkar bhogo ki unse attachment na ho. 4 chijo ka smaran rakhna chahea or unka amratpan krna chahea - Shama, Daya, Arjav, Satya. ye chije use Aatman gyan ki traf lejati hai. Panchbhut Manushya nhi hai 5 tatvo se sirf uska sarir bana hai jo manushya nhi hai use jan na chahea ki vo Aatma hai jo amar hai. Jo apne ap ko sarir na samjhke aram krega wo turant sabhi Maya ke bandhano se mukt hojaega. or fir voh Sukh, shanti or anand ka bodh krega